Tuesday, July 14, 2009

malihabad

malihabad

2 comments:

  1. jahan dil mil jaye mizaaj mile na mile
    mutaffiq sab ho jaye khayaal mile na mile
    farq sab mit jaye ek aasmaa ke liye
    raqeeb rafeeq ho jaye ek jahan ke liye
    aisa ek azm jo inquilaab kar de
    khushk ahsaas ko sairaab karde
    ek qadam bada kar jo manzil ko paa sake
    aisa azm jo koi ijaad kar sake
    to hai dawat use bhi us mahfile sukhan ki
    padni hai jahan neev ek khayaali watan ki…..
    jahan uzr ki shaakh par sabr phalne lage
    jahan sharm ki baat par sar jhukne lage
    jahan naseehat dawa lagne lage
    jahan boli bholi lagne lage
    jeene lage jahan sab ek doosre ke liye
    khalish hona dil mein pyar sab ke liye
    jo gar ana ko apni qaum ke zer kar sake
    jo gar mulk ko khushiyo se zabar kar sake
    to hai dawat use bhi us aarzoo-e-chaman ki
    padni hai jaha neev ek khayaali watan ki……
    takabbur hasad kina ko jo sareaam qatl karde
    ho ek aisa marde insaa jo yeh kaam karde
    ghaflat aadat shohrat rishwat adawat
    in sabse jo beniyaaz karde
    ho ek aisa jazba-e-insaani ko jo ghalib karde
    firqaparasti ka khatm wo dajjal kar de
    ilm ki roshni se banjar ko aabaad karde
    ho wafaa ka qayal choom le hawa ke jhonkon ko
    jaan le talab ko hothon ki laghrish ko
    to hai dawat use bhi us mahfile-e-anjuman ki
    padni hai jaha neev ek khayaali watan ki……

    ReplyDelete
  2. bakhhtiyar ramzi

    ReplyDelete